![]() |
| p.c@paeferin[Pixabay] |
Kbhi Jo tere Kadam Ladkhadayein,
Or door door tak koi sambhalne wala na nazar aaye,
Dukhi mat hona tu Dil ,
Khud par rkhna bharosa itna,
Or banna is kaabil,
Ki girke tu khud hi sambhal jaaye.
Kbhi Jo teri aankhein yun hi aansoo chalkayein ,
Or koi unhe Ponchne wala na nazar aaye,
Rona naa tu Dil ,
Aansoo Thaam uth padna ,
Banna is kaabil ,
Ki khud ke sath sath dusro ke
Chehron par bhi, Teri hasi pahonch jaaye.
Kbhi Jo tu is Bheed mein kho Jaaye,
Or koi rasta batane ko nazar naa aaye,
Haarna na tu Dil,
Apne rastey dhund lena ,
Dhund lena apni Manzil
Kbhi Jo yeh Duniya tere Dil se khel jaaye,
Or koi tera mol na jaan paaye,
Tootna na tu Dil,
Bikhre hue khud ko jod lena is kadar ki,
Logon ki besh keemati Duaon mein,
Hone lage naam tera shamil .
©RitzyyBonViveur.blogspot.com









No comments:
Post a Comment